Wednesday, March 21, 2012

Muddaton baad.....

Muddaton baad mujhe dekhkar tera muskuraana achcha laga,
Nazar bachakar guzar jaane waale tera qareeb aana achcha laga.

Is ummeed par k ab koi pareshaani hamaara raasta na roke,
Tera haathon ko uthakar Khuda ko bulaana achcha laga.

Yun to hum maante hain, mujhse doori teri khata thi,
Is muhazzab zamaane par thopa tera har bahaana achcha laga.

Tere hijr ki zahmaton ka hai bayaan na-mumkin,
Aaj tum aaye ho to wo guzra zamaana bhi achcha laga.

Baarhan ye fikr k zindagi tujh bin guzregi kaise,
Aaj is fikr ka dil se nikal jaana achcha laga.

Muddaton baad aaj khushi mili hai to ye kehte hain “Aamir”,
Tere is khayaal ka ghazal mein utar jaana achcha laga.

1 comment:

  1. Aur ae Aamir tera ye ghazal ko net pe utarna achha laga

    ReplyDelete