Saturday, October 22, 2011

Meri zindagi ki shama.....

Meri zindagi ki shama ko sahar ka intezaar hai,
Jo kaza pe milta hai, ye dil, us sukun ka talabgaar hai.

Dil se teri yaadon ko mita-un kaise,
Hamaare dil par to tera ikhtiyaar hai.

Maine kab inkaar kiya , wo gulbadan hai,
Par ye bhi sach hai, gulon ke hi daaman mein hote khaar hain.

Teri beniyaazi meri barbaadi ban gayi,
Aye chashm-e-naaz kya tujhe bhi khyaal hai.

Teri rusva-ii ke khayaal ne rok rakha hai,
Main kyunkar na kahun, meri is haalat ka tu zimmedaar hai.

Kahin dosti se bhi yaaron ka bharosa na uth jaaye,
Main kyun nahin kehta, mera qaatil ik puraana yaar hai.

Kabhi suna kisi se ki tadeeb ne beemaar kiya,
Ye mojza to muhobbat ka mere yaar hai.

Ik qaatil ko kyun gale lagaaya “Aamir”,
Tu khud hi to apna gunahgaar hai.

No comments:

Post a Comment