Saturday, October 22, 2011

Is zindagi ne kuch......

Is zindagi ne kuch tajurba diya hai hamein,
Zulmat-e-shab se joojhne ka hausla diya hai hamein.

Shikayat to fitrat-e-adam hai aye dost,
Tu dekh khuda ne kya kuch diya hai hamein.

Jo kabhi hamari wafaon ki qasamein khata tha,
Usi shakhs ne "Aamir" bewafa kaha hai hamein.

Hum bhi kabhi nazuk mizaj hua karte the,
Gham-e-dauran ne ye chehra diya hai hamein.

Mehfil mein bhi khud ko tanha paata hun,
Jaane kis ne bhula diya hai hamein.

Dost bhi ab nazar bachakar guzarne lage,
Ye muhobbat ka sila diya hai hamein.

Mausam-e-bahar hai aur dil tadapta hai,
Ahl-e-chaman ne yun thukra diya hai hamein.

Guman tha hamein apni hasti ka,
Hum kya hai, mere logon ne bata diya hai hamein

Jinhein rahbar hum samajhte rahe umr bhar,
Har ek gaam par gumrah kiya hai hamein.

No comments:

Post a Comment