Junoon-e-ku-e-yaar ne kya bana diya,
Naye musaafiron ke liye naasah bana diya.
Jiski hasrat thi wo to haasil na hua,
Is deewangi ne magar tajurba bada diya.
Uske pehlu mein mujhe khushi ki talaash thi,
Us kamzarf ne magar dard se rishta bana diya.
Ishq aur shirk ki had-on ko mila diya,
Kyun humne ik but ko khuda bana diya.
Uski baat-on ne humein ik nazariya naya diya,
Dard ko bhi usne apni meharbaani bata diya.
Ik tang dil se aur kya maangte ho “Aamir”,
Dard hi sahi usne kuch to tumhein diya.
Usne zaroor kuch behtar soch rakha hoga,
Kyun rab ne faislaa tere haq mein nahin diya.

No comments:
Post a Comment