Use paane ki jadd-o-jahad to bahot ki,
Qismat bhi kuch hoti hai, aaj maan liya.
Muhobbat mein suna tha log shayar ho jaate hain,
Is baat mein chhupi haqeeqat ko bhi jaan liya.
Ye kaise keh dun meri khushi usse judi hai,
Aaj jab us shakhs ko itne qareeb se pehchan liya.
Ik khalish hai jo dil mein ghar kar baithi hai,
Maine ik qaatil ko kyun apna wali maan liya.
Meri khu-e-wafa ne yun majboor kar diya yaaron,
Wo humdard hai humne uska ye kaha bhi maan liya.
Aaj bhi wo chehra nazar ke saamne rehta hai,
Muddaton se jise dekha na jiska naam liya.
Tu aaj bhi usi shakhs se ummeed lagaaye hai “Aamir”,
Jisne har gaam tujhse na jaane kis baat ka intiqaam liya.

No comments:
Post a Comment