Hairan hun mere haathon ki lakeeron mein tu kyun hai,
Nahin wisaal mayassar to ye aarzu kyun hai.
Haqeeqat hai maqsad-e-zist khuda ki bandagi hai,
Phir jahan ka har insaan khuda se door kyun hai.
Waaiz tu kehta hai, mushkilaat aamaal ka nateeja hain,
Phir saza paane walon mein beqasoor kyun hain.
Log kehte hain wo nahin meri muhobbat ke qabil,
Phir wo shakhs itna maghroor kyun hai.
Hum bhi ab maanne lage hamari khushi usse juda hai,
Dil mein maayusiyon ka samaan purzor kyun hai.
Aaj se pehle tu aisa to na tha “Aamir”,
Kya baat hai, aaj tu itna kamzor kyun hai.

No comments:
Post a Comment