Chand ashaar likhne se koi mash-hoor nahin hota,
Varaq par aakar dard dil se door nahin hota.
Kaamyabi ka raaz kya bataun tujhe,
Phal usi shajar par aate hain jo maghroor nahin hota.
Zaroor kuch khatayen rahi hongi aaj se pehle,
Saza paanewala kabhi beqasoor nahin hota.
Taraqqi yaafta log kuch aise bhi guzre hain,
Jinhein bolne tak ka sha-oor nahin hota.
In aankhon ne kai sunahri sahar dekhi hain,
Kyunkar manu.n zulmat-e-shab door nahin hota.
Mere baad meri baatein raah dikhlayengi,
Koi tajurba kabhi fazool nahin hota.
Kyun khalk se uska shiqwa karte ho “Aamir”,
Gar wo maghroor nahin hota, tu mash-hoor nahin hota.

No comments:
Post a Comment