Kuch aisi baatein thi.n jo dil ko nagavaar guzrin,
Wagarna saath nibhane se humein kab inkaar tha.
Haqeeqt hai wo kabhi mera muntazir raha hi nahin,
Dil ye kehta tha, use bhi mera intezaar tha.
Ik nazar maazi ki taraf dekh lun to kaanp uth-ta hun,
Ek zakhm bhara nahin aur doosra tayyar tha.
Unke humdardi ke daave se ye sawaal hai,
Humein jisne barbaad kiya, kya koi aur tha.
Tumhara aana kisi qayamat se kam to nahin,
Isse pehle humein kuch dil pe ikhtiyaar tha.
Uski taareef ko lafz hi nahin milte “Aamir”,
Jisne gham diya kehta tha mera ghamgusaar tha.
Tark-e-muhobbat ke baad ye aalam yaaron,
Is bhari duniya mein dil usi ka talabgaar tha.

No comments:
Post a Comment