Dil mein kuch to tha jiska izhar na tha,
Pata nahin kya tha magar pyar na tha.
Meri khwahishon ko wo raundhta nahin kyunkar,
Aakhirash wo shakhs mera talabgaar na tha.
Meri betabi ek bayaban mein thi toofaan ki manind,
Uski bechaini ek qatre ka bhi misaal na tha.
Wo bhi janta tha meri barbadi ka sabab,
Lekin wo shakhs kabhi sharmsaar na tha.
Sach hai ke hamin ne ise hawa di thi ,
Jazba jo dil me utha tha, beikhtiyaar na tha.
Wada to usne bhi kia tha milne ka,
Dil ko kabhi uspar aitbaar na tha.
Kuch to baat hai ke ashq rukte hi nahin hamare,
Khushiyon ko gale lagane se hamein inkaar na tha.
Kyun uski mayyat pe rote ho yaaron,
“Aamir” in ashqon ka haqdaar na tha.

No comments:
Post a Comment