Jab bhi tere bichadne ka samaan yaad aata hai,
Palkein namnaak ho jaati hain,ji bahot ghabrata hai.
Tere khayaal par dil ye sawaal karta hai,
Jo shakhs mera nahin kyunkar yaad aata hai.
Jab ke sach ye hai,meri afsurdagi ka taalluq tujhse hai,
Dil ye kehta hai, meri khushiyon ka tujhse naata hai.
Ab meri muhobbat mein wo shiddat na rahi,
Phir bhi, kabhi-kabhi, aye dost tu bahut yaad aata hai.
Yaaron ka sawaal unki naadaani dikhlata hai,
Unhein kaise samjha-un ik bemehar ko ye dil kyun chahta hai.
Ab chhodo bhi ajnabiyon se dil lagaana “Aamir”,
Chain-o-sukun gavaana tumhein kyun itna bhaata hai.

No comments:
Post a Comment