Thursday, October 28, 2010

Jo muhobbat hai mujhse......

Jo muhobbat hai mujhse meri khushi ki dua karo,
Gar chahiye ik sukhanwar meri afsurdagi ki tamanna karo.

Ab chhodo bhi aana jaana mere humdum,
Waqt bahot guzar chuka ab koi mustaqil faisla karo.

Samajh jaoge in ashaar mein chupa dard tum bhi,
Zaban nahin mere ashaar dil se padha karo.

Baharein teri bhi muntazir ho sakti hain aye dost,
Gar maazi ki naakaamiyon se hat kar socha karo.

Tera dil ab tere haq mein faisla nahin deta “Aamir”,
Kya zaroori hai har gaam is dil ki suna karo.

Shayad samajh pao tum uske taghaafful ka raaz,
Kabhi uski jagah khud ko rakh kar dekha karo.

Zindagi guzar na jaaye inhin andheron mein kahin,
Waqt aa chuka hai ab raushan koi shamma karo.

Waiz kehte hain ki sab achche ko hota hai,
Kabhi unki baaton par bhi bharosa karo.

Ik zara sa hausla hamari taqdeer badal sakta hai,
Meri humnafas tum aaghaaz ka irada to karo.

No comments:

Post a Comment