Wednesday, December 8, 2010

Unki nazrein dekh kar.....

Unki nazrein dekh kar ye gumaan hota hai,
Wo jab pareshaan hote hain, hamaari yaadon ka samaan hota hai.

Hai ye khushi ki baat ke tujhe but-on se hai lagaav,
But hazaar hote hain, ek to sirf khuda hota hai.

Tum dhoka kyunkar na khate “Aamir”,
Rahzan kab rahnumaan hota hai.

Waa-iz-on ki kya baat karein aye dost,
Bandagi hoor-on ki karte hain, kehne ko khuda hota hai .

Apni har shaam yun hi guzarti hai,
Haath-on mein jaam, labon par shiqwa hota hai.

Teri afsurdagi ik naya ilm deti hai,
But-on ke bhi dil hote hain, jazba hota hai.












No comments:

Post a Comment